Saturday, January 10, 2009

Bhula Dena

Toot Ker zara dekho
Tum agar bikhar jao
Bebasi main ghir jao
Dil se ik sada dena
Bas mujhe bula lena
Main Tumhein sambhaloon ga
Zindagi main chalne ka
Raasta badalne ka
Ik Hunar sikha doon ga
Tum ko honsla doon ga
Or jab sambhal jao
Roshni main dhal jao
Mujh ko yoon sila dena
TUM MUJHE BHULA DENA

No comments:

Post a Comment

Please do not use foul language to comment. Found such comments will be deleted.